Yadon ka daman

yadon k daman se kuch tasvirein chupa rakhi hai,
tasviron k saye me khud ko chupa rakha hai,
Nikle the ghar se duniya ko badalne,
Jab dekhe alag alag se log, to khud hi badal gae,
Na thi apne ki samjh, na paaraye ki pahchaan,
Jo bhi mila, jisse bhi mila, dil me basa k chal diya,
Waqt ki karwat ne sab kuch dikha diya,
kaun hai apna, kaun hai paraya, sabne bata diya,
chale the akele, aj bhi hai akele,
logo ne khub hame ache se sikhaya,
na chalna unrahon pe jinme pade ho kante,
badh chalna un rahon pe jo tumko hai kuch sikhate


Written By Suraj Shukla